Skip to main content

Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Salat o Salam Lyrics...

 Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Salam

Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Koi Husn-e-Amal Paas Mere Nahi
Phas Na Jaaon Qayamat Main Mola Kahin
Ae Shafee Ae Umam La'aj Rakhna Tumhi
Tumpe Har Dam Karoron Durood O 


Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Door Reh Kar Na Dum Toot Jaaye Kaheen
Kash Taiba Main Ay Mere Mah-e-Mubeen
Dafan Honay Ko Mil Jaaye Do Gaz Zameen
Tumpay Har Dam Karoron Durood O Salam

Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Dono Alam Main Koi Bhi Tumsa Nahi
Sab Haseeno Se Bar Kar Tumhi Ho Haseen
Kasim-e-Rizq-e-Rabul Ula Ho Tumhi
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Teri Yaadon Se Maamur Seena rahe
Lab Pe Har Dam Madina-Madina Rahe
Bas Mai Deewana Ban Jaun Sultane Dee(n)
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Phir Bulalo Madine Me Attar Ko
Ye Tarapta Hai Taiba Ke Deedar ko
Koi Iske Siwa Aarzu Hi Nahi
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Comments

Popular posts from this blog

Balagahl ula bi kamalehi Lyrics

Balagahl ula bi kamalehi Full kalam by aala hazrat(r.a) Gul e quds ki woh bahar hai... ke jise kabhi bhi khiza nahi... Woh mahe arab ki hai roshni... Jahan zulmato ka guman nahi... Behijab dekhe unhei koi... Yeh kisi main tab o tava nahi... kyu kewoh kamal e husn e huzoor hai... Ke guman nafs e jahan nahi... Aaqa..yahi phool khar se door hai... Yahi sham'uah hai k dhua nahi.... Sallu ale he waalehi... Balaghal ula bi kamlaehi kashafattuja bi jamale hi.... Jo  tere sukhan main hai chasni... Bakhuda kisi ke yaha nahi... Kahe gair bhi k tere sukhan... Main galat ka naam o nishan nahi... Ae nabi tera yeh kalam hai... Jo samaat o pe gira nahi.. kyu kemain nisar tere kalaam par... Miliyu toh kisko zaban nahi... Haa  woh sukhan hai jismain sukhan na hoo..     Woh bayan hai  jiska bayan nahi.. Sallu ale he waalehi... Balaghal ula bi kamlaehi kashafattuja bi jamale hi.... Bhala kis main itni majal hai, ke woh tere samne tik sake... ...

Mujhe Mustafa bulate toh kuch aur baat hoti, Kabhi laut ke naa ate toh kuch aur baat hoti.. Kalam e huzoor Tajulwaezeen Sayyed Manzar Rabbani...

Mujhe Mustafa bulate toh kuch aur baat hoti... Mujhe mustafa bulate to kuch or baat hoti.. Kabhi lout kr na aate to kuch or baat hoti... Yahi arzoo hai maula ke madina jald pohchun, Unhe haal e gum sunate to kuch or baat hoti.... Teri deed ki tamanna me hai ask bhaar ankhe... Kabhi khuwaab hi me ate to kuch or baat hoti... Ye Chamakte chaand suraj mera dil na inse chamka... Jo huzoor muskurate to kuch or baat hoti... Meri beshumar isiyaan ke bohat hu inpe naadim, Jo huzoor bakhswate to kuch or baat hoti.. Ye nabi ki naat manzar jo yaha suna rahe ho... Ye huzoor ko sunate to kuch or baat hoti...