Skip to main content

Ae Subz Gumbad Wale Manzoor dua karna Full Lyrics...

Ae Subz Gumbad Wale Manzoor dua karna...

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Ae Noor e Khuda aakar,
ankhoon mein sama jana,
Ya dar pe bula lena,
ya khawab main aa jana,
Ae parda nasheen dil ke,
parde mein raha karna, 
Jab waqt e nazah aye,
deedar aata karna... 

Ae sabz gumbad walay manzoor dua karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Main qabr andheri mein,
Ghabraoonga jab tanha,
Imdaad meri karnay,
aajana meray aaqa,
Roshan meri turbath ko,
ae noor e Khuda karna,
Jab waqt e nazah aaye,
deedar ataa karna...

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Mujrim hoon jahaan bhar ka, mehshar mein bharam rakhna,
Rusva e zamana hun,
daman mein chupa lena,
Maqbool yeh arz meri,
lillah zara karna,
Jab waqt e nazah aye,
deedar ataa karna...

Ae sabz gumbad walay manzoor dua karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Chehre se ziya payee in chand sitaaron nay,
Us dar say shifa paayi dukh dard kay maaron ne,
Aataa hai unhein sabir har dukh ki dawa karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Mehboob Ilaahi sa koyi na haseen dekha,
Ye shaan hi inki ke saaya bhi nahin dekha,
Allah nay saaye ko chaha na judah karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna,
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna...

Comments

Post a Comment

Naat o Hamd Ke Lyrics keSuggestions Niche de sakte hain

Popular posts from this blog

Balagahl ula bi kamalehi Lyrics

Balagahl ula bi kamalehi Full kalam by aala hazrat(r.a) Gul e quds ki woh bahar hai... ke jise kabhi bhi khiza nahi... Woh mahe arab ki hai roshni... Jahan zulmato ka guman nahi... Behijab dekhe unhei koi... Yeh kisi main tab o tava nahi... kyu kewoh kamal e husn e huzoor hai... Ke guman nafs e jahan nahi... Aaqa..yahi phool khar se door hai... Yahi sham'uah hai k dhua nahi.... Sallu ale he waalehi... Balaghal ula bi kamlaehi kashafattuja bi jamale hi.... Jo  tere sukhan main hai chasni... Bakhuda kisi ke yaha nahi... Kahe gair bhi k tere sukhan... Main galat ka naam o nishan nahi... Ae nabi tera yeh kalam hai... Jo samaat o pe gira nahi.. kyu kemain nisar tere kalaam par... Miliyu toh kisko zaban nahi... Haa  woh sukhan hai jismain sukhan na hoo..     Woh bayan hai  jiska bayan nahi.. Sallu ale he waalehi... Balaghal ula bi kamlaehi kashafattuja bi jamale hi.... Bhala kis main itni majal hai, ke woh tere samne tik sake... ...

Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Salat o Salam Lyrics...

 Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Salam Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Koi Husn-e-Amal Paas Mere Nahi Phas Na Jaaon Qayamat Main Mola Kahin Ae Shafee Ae Umam La'aj Rakhna Tumhi Tumpe Har Dam Karoron Durood O  Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Door Reh Kar Na Dum Toot Jaaye Kaheen Kash Taiba Main Ay Mere Mah-e-Mubeen Dafan Honay Ko Mil Jaaye Do Gaz Zameen Tumpay Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Dono Alam Main Koi Bhi Tumsa Nahi Sab Haseeno Se Bar Kar Tumhi Ho Haseen Kasim-e-Rizq-e-Rabul Ula Ho Tumhi Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Teri Yaadon Se Maamur Seena rahe Lab Pe Har Dam Madina-Madina Rahe Bas ...

Mujhe Mustafa bulate toh kuch aur baat hoti, Kabhi laut ke naa ate toh kuch aur baat hoti.. Kalam e huzoor Tajulwaezeen Sayyed Manzar Rabbani...

Mujhe Mustafa bulate toh kuch aur baat hoti... Mujhe mustafa bulate to kuch or baat hoti.. Kabhi lout kr na aate to kuch or baat hoti... Yahi arzoo hai maula ke madina jald pohchun, Unhe haal e gum sunate to kuch or baat hoti.... Teri deed ki tamanna me hai ask bhaar ankhe... Kabhi khuwaab hi me ate to kuch or baat hoti... Ye Chamakte chaand suraj mera dil na inse chamka... Jo huzoor muskurate to kuch or baat hoti... Meri beshumar isiyaan ke bohat hu inpe naadim, Jo huzoor bakhswate to kuch or baat hoti.. Ye nabi ki naat manzar jo yaha suna rahe ho... Ye huzoor ko sunate to kuch or baat hoti...