Skip to main content

Ek Mujrim Siyahkar hu main manqabat lyrics...

Ek Mujrim Siyahkar Hu Mai...

Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do...
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai....
Faslo Ko Khudaya Mita Do...
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai..

Gausul Azam Ho Gausul Wara Ho,
Dastagir Aur Mushkil kusha Ho...
Kya Bayan Aapka Martaba Ho...
Noor Ho Noor e Salle Ala Ho...
Aaj Deedar Apna Kara Do...
Jaaliyo Pe Nigahe Jami Hai...

Wajd May Aayega Saara Aalam...
Jab Pukarenge Ya Gause Azam...
Woh Nikal Aayenge Jaliyo Se...
Aur Qadmon May Gir Jayenge...
Fir Kahenge Ke Bigdi Bana Do...
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai...

Sun Rahe Hai Woh Fariyad Meri...
Khak Hogi Na Barbaad Meri...
Mai Kahin Bhi Maru Shah e Jeelaan...
Rooh Pohnchegi Bagdaad Meri...
Muj Ko Parwaz Ke Par Laga Do...
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai...

Ek mujrim siyahkar hu main...
Har Khata Ka Sazawaar Hu Mai...
Mere Charo Taraf Hai Andhera...
Roshni Ka Talabgar Hu Mai...
Ek Diya Hi Samajkar Jala Do...
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai...

Har Wali Apke Zere Paa Hai....
Har Aada Mustafa Ki Aada...
Aapne Deen Zinda Kiya Hai....
Dubtaun Ko Sahara Diya Hai..
Meri Kashti Kinaare Laga Do...
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai..

Fikr Dekho Khayalat Dekho...
Ye Aqeedat Ye Jazbaat Dekho...
Mai Hu Kya Meri Awqaat Dekho...
Saamne Kaisi Hai Zaat Dekho...
Aye ADEEB Apna Sar Ab Jhooka Do...
Jaliyo Per Nigahe Jami Hai...

Comments

Popular posts from this blog

Balagahl ula bi kamalehi Lyrics

Balagahl ula bi kamalehi Full kalam by aala hazrat(r.a) Gul e quds ki woh bahar hai... ke jise kabhi bhi khiza nahi... Woh mahe arab ki hai roshni... Jahan zulmato ka guman nahi... Behijab dekhe unhei koi... Yeh kisi main tab o tava nahi... kyu kewoh kamal e husn e huzoor hai... Ke guman nafs e jahan nahi... Aaqa..yahi phool khar se door hai... Yahi sham'uah hai k dhua nahi.... Sallu ale he waalehi... Balaghal ula bi kamlaehi kashafattuja bi jamale hi.... Jo  tere sukhan main hai chasni... Bakhuda kisi ke yaha nahi... Kahe gair bhi k tere sukhan... Main galat ka naam o nishan nahi... Ae nabi tera yeh kalam hai... Jo samaat o pe gira nahi.. kyu kemain nisar tere kalaam par... Miliyu toh kisko zaban nahi... Haa  woh sukhan hai jismain sukhan na hoo..     Woh bayan hai  jiska bayan nahi.. Sallu ale he waalehi... Balaghal ula bi kamlaehi kashafattuja bi jamale hi.... Bhala kis main itni majal hai, ke woh tere samne tik sake... ...

Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Salat o Salam Lyrics...

 Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Salam Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Koi Husn-e-Amal Paas Mere Nahi Phas Na Jaaon Qayamat Main Mola Kahin Ae Shafee Ae Umam La'aj Rakhna Tumhi Tumpe Har Dam Karoron Durood O  Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Door Reh Kar Na Dum Toot Jaaye Kaheen Kash Taiba Main Ay Mere Mah-e-Mubeen Dafan Honay Ko Mil Jaaye Do Gaz Zameen Tumpay Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Dono Alam Main Koi Bhi Tumsa Nahi Sab Haseeno Se Bar Kar Tumhi Ho Haseen Kasim-e-Rizq-e-Rabul Ula Ho Tumhi Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam Teri Yaadon Se Maamur Seena rahe Lab Pe Har Dam Madina-Madina Rahe Bas ...

Mujhe Mustafa bulate toh kuch aur baat hoti, Kabhi laut ke naa ate toh kuch aur baat hoti.. Kalam e huzoor Tajulwaezeen Sayyed Manzar Rabbani...

Mujhe Mustafa bulate toh kuch aur baat hoti... Mujhe mustafa bulate to kuch or baat hoti.. Kabhi lout kr na aate to kuch or baat hoti... Yahi arzoo hai maula ke madina jald pohchun, Unhe haal e gum sunate to kuch or baat hoti.... Teri deed ki tamanna me hai ask bhaar ankhe... Kabhi khuwaab hi me ate to kuch or baat hoti... Ye Chamakte chaand suraj mera dil na inse chamka... Jo huzoor muskurate to kuch or baat hoti... Meri beshumar isiyaan ke bohat hu inpe naadim, Jo huzoor bakhswate to kuch or baat hoti.. Ye nabi ki naat manzar jo yaha suna rahe ho... Ye huzoor ko sunate to kuch or baat hoti...